Labels

I Write (14) Hindi Poem (10) Sad (9) Fun (5) English (3) life (3) ankur (2) Comment (1) Courage (1) Depression (1) Entertainment (1) Friday (1) Friend (1) Happy (1) Humor (1) I Phone View (1) Inspiring (1) Moon (1) News (1) Niagra (1) Photos (1) Poem (1) Strength (1) Talking Tom (1) media (1) week (1)

Friday, November 5, 2010

Diwali 2010: What do we miss today?

(The below is dedicated to all those who are not able to join their family in India this Diwali)




Ghar ki safai ko,
kachre ki vidaai ko,
deewaron ki rangaai ko,
aangan ki dhulaai ko

bahut miss karte hai aaj...

Firkani ki thirkan ko,
fuljhadi ke indra-dhanushi rango ko,
patako ki pat-pat bajti chatai ko,
anaar ke daano ki oonchaai ko,

bahut miss karte hai aaj...

Poori choley ki thali ko,
rasmalai ki malai ko,
mathri ki khatai ko,
gift mei aayi mithaai ko,

bahut miss karte hai aaj...

Bajaar mei lagi sale ko,
bheed se bhari rail ko,
diye mei bharte tel(oil) ko,
phoolon ki us bel (thread) ko,

bahut miss karte hai aaj...

pooja-bhakti ke mahaul mei,
patako ke aate dhyaan ko,
bado ke aashirwaad-pyaar ko,
parivaar ke dulaar ko,

bahut miss karte hai aaj...

Wish you all a Very Happy Diwali...

No comments:

Post a Comment