Labels

I Write (14) Hindi Poem (10) Sad (9) Fun (5) English (3) life (3) ankur (2) Comment (1) Courage (1) Depression (1) Entertainment (1) Friday (1) Friend (1) Happy (1) Humor (1) I Phone View (1) Inspiring (1) Moon (1) News (1) Niagra (1) Photos (1) Poem (1) Strength (1) Talking Tom (1) media (1) week (1)

Monday, June 25, 2007

June 17, 2007 One year experience with NY

subah shaam ki anant-daud mei waqt yuhi kuch gujar gaya,
paane aaye they hum yahan khusiyan, par dil usko hi taras gaya
yahan haste chehre bahut se dekhe, dil se hasta ek nahi tha,
shayad jeevan se ladne ki is jung mei dil khushi mei hasna bhool gaya...
darta hai har shaks yahan koi dekh na le uski uljhan ko,
yahi ek kaaran hai jo wo khud meenaro mei chupna seekh gaya...
choo raha hai aaj aasmaan... garv hai usko un haathon par,
jo haath ek rote ke aanson ko rumaal dikhana bhool gaya...
har shaam khushi ki mehfil mei jaakar dil to behlaana yaad raha,
par khushi se mehfil mei bhi ek dost banana bhool gaya
apna bas apna soch soch khud kya tha yeh ab yaad nahi hai,
par beetein kal ki yaadon ke saath raat mei kuch samay beetaana seekh gaya...

No comments:

Post a Comment